Tujhko jo Paya
Muskurate hue labon se.
Jhonka hawa ka aise takraya.
Socha ki andekha kar dun usey.
Par ye soch ke ki.
Shayad tera paigam aaya.
Kuch kar na saki.
Kuch keh na saki.
Par jab aankhen khola.
To samne khali manzar tha.
Achanak wo jhonka mere kaano me.
Dheeme se sansana ke bas itna keh paya.
Ki jiska khayal tujhe abhi aaya.
use to tune apne rooh me kab se hai basaya.
Ki jiska khayal tujhe abhi aaya.
use to tune apne rooh me kab se hai basaya.
Ab kyun dar dar dhunde
jab apne khuda ko tune hai paya
Comments
Post a Comment